mar rahte jo gul bin to saarā ye ḳhalal jaatā
niklā hī na jī varna kāñTā sā nikal jaatā
paidā hai ki pinhāñ thī ātish-nafsī merī
maiñ zabt na kartā to sab shahr ye jal jaatā
maiñ girya-e-ḳhūnīñ ko roke hī rahā varna
ik dam meñ zamāne kā yaañ rañg badal jaatā
bin pūchhe karam se vo jo baḳhsh na detā to
pursish meñ hamārī hī din hashr kā Dhal jaatā
istāda jahāñ meñ thā maidān-e-mohabbat meñ
vaañ rustam agar aatā to dekh ke Tal jaatā
vo sair kā vaadī ke maa.il na huā varna
āñkhoñ ko ġhazāloñ kī paañv tale mal jaatā
be-tāb-o-tavāñ yuuñ maiñ kaahe ko talaf hotā
yāqūtī tire lab kī miltī to sambhal jaatā
us sīm-badan ko thī kab tāb-e-tāb itnī
vo chāndnī meñ shab kī hotā to pighal jaatā
maarā gayā tab guzrā bose se tire lab ke
kyā 'mīr' bhī laḌkā thā bātoñ meñ bahal jaatā