Meer Taqi Meer

aaj-kal be-qarar hain hum bhi

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
āj-kal be-qarār haiñ ham bhī
baiTh jā chalne haar haiñ ham bhī
aan meñ kuchh haiñ aan meñ kuchh haiñ
tohfa-e-rozgār haiñ ham bhī
manā girya na kar to ai nāseh
is meñ be-iḳhtiyār haiñ ham bhī
darpai jaan hai qarāvul marg
kaso ke to shikār haiñ ham bhī
naale kariyo samajh ke ai bulbul
baaġh meñ yak kanār haiñ ham bhī
mudda.ī ko sharāb ham ko zahar
āqibat dost-dār haiñ ham bhī
muztarib girya naak hai ye gul
barq abr-e-bahār haiñ ham bhī
gar za-ḳhud rafta haiñ tire nazdīk
apne to yādgār haiñ ham bhī
'mīr' naam ik javāñ sunā hogā
usī āshiq ke yaar haiñ ham bhī
Top Urdushayar.com