hamāre aage tirā jab kisū ne naam liyā
dil-e-sitam-zada ko ham ne thaam thaam liyā
qasam jo khā.iye to tāla-e-zuleḳhā kī
azīz-e-misr kā bhī sāhab ik ġhulām liyā
ḳharāb rahte the masjid ke aage mai-ḳhāne
nigāh-e-mast ne saaqī kī intiqām liyā
vo kaj-ravish na milā rāste meñ mujh se kabhī
na sīdhī tarah se un ne mirā salām liyā
mazā dikhāveñge be-rahmī kā tirī sayyād
gar iztirāb-e-asīrī ne zer-e-dām liyā
mire salīqe se merī nibhī mohabbat meñ
tamām umr maiñ nākāmiyoñ se kaam liyā
agarche gosha-guzīñ huuñ maiñ shā.iroñ meñ 'mīr'
pa mere shor ne rū-e-zamīñ tamām liyā