Meer Taqi Meer

kya karun sharh KHasta-jaani ki

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā karūñ sharh ḳhasta-jānī kī
maiñ ne mar mar ke zindagānī kī
hāl-e-bad guftanī nahīñ merā
tum ne pūchhā to mehrbānī kī
sab ko jaanā hai yuuñ to par ai sabr
aatī hai ik tirī javānī kī
tishna-lab mar ga.e tire āshiq
na milī ek buuñd paanī kī
bait-bahsī samajh ke kar bulbul
dhuum hai merī ḳhush-zabānī kī
jis se khoī thī niiñd 'mīr' ne kal
ibtidā phir vahī kahānī kī
Top Urdushayar.com