Meer Taqi Meer

yaro mujhe muaf rakho main nashe mein hun

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
yaaro mujhe muaaf rakho maiñ nashe meñ huuñ
ab do to jaam ḳhālī hī do maiñ nashe meñ huuñ
ek ek qurt daur meñ yuuñ hī mujhe bhī do
jām-e-sharāb pur na karo maiñ nashe meñ huuñ
mastī se darhamī hai mirī guftugū ke biich
jo chāho tum bhī mujh ko kaho maiñ nashe meñ huuñ
yā hāthoñ haath lo mujhe mānind-e-jām-e-mai
yā thoḌī duur saath chalo maiñ nashe meñ huuñ
ma.azūr huuñ jo paañv mirā be-tarah paḌe
tum sargirāñ to mujh se na ho maiñ nashe meñ huuñ
bhāgī namāz-e-juma to jaatī nahīñ hai kuchh
chaltā huuñ maiñ bhī Tuk to raho maiñ nashe meñ huuñ
nāzuk-mizāj aap qayāmat haiñ 'mīr' jī
juuñ shīsha mere muñh na lago maiñ nashe meñ huuñ
Top Urdushayar.com