ḳhat likh ke koī saada na us ko malūl ho
ham to huuñ bad-gumān jo qāsid-e-rasūl ho
chāhūñ to bhar ke kaulī uThā luuñ abhī tumheñ
kaise hī bhārī ho mire aage to phuul ho
surma jo nuur baḳhshe hai āñkhoñ ko ḳhalq kī
shāyad ki rāh-e-yār kī hī ḳhaak dhuul ho
jāveñ nisār hone ko ham kis bisāt par
ik niim jaañ rakheñ haiñ so vo jab qubūl ho
ham in dinoñ meñ lag nahīñ paḌte haiñ sub.h-o-shām
varna duā kareñ to jo chāheñ husūl ho
dil le ke lauñDe dillī ke kab kā pachā ga.e
ab un se khaa.ī pī huī shai kiyā vasūl ho
nākām is liye ho ki chāho ho sab kuchh aaj
tum bhī to 'mīr' sāhib-o-qibla ajuul ho