rahī na puḳhtagī aalam meñ duur ḳhāmī hai
hazār haif kamīnoñ kā charḳh haamī hai
na uTh to ghar se agar chāhtā hai huuñ mash.hūr
nagīñ jo baiThā hai gaḌ kar to kaisā naamī hai
huī haiñ fikreñ pareshān 'mīr' yāroñ kī
havās-e-ḳhamsa kare jam.a so 'nizāmī' hai