Meer Taqi Meer

ho aajiz ki jism is qadar zor se

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ho aajiz ki jism is qadar zor se
na niklā kabhū uhda-e-mor se
bahut duur koī rahā hai magar
ki fariyād meñ hai jaras shor se
mirī ḳhāk-e-tafta par ai abr-e-tar
qasam hai tujhe Tak baras zor se
tire dil-jale ko rakhā jis ghaḌī
dhuāñ sā uThā kuchh lab-e-gor se
na pūchho ki be-e'tibārī se maiñ
huā us galī meñ batar chor se
nahīñ sūjhtā kuchh jo us bin hameñ
baġhair us ke rahte haiñ ham kor se
jo ho 'mīr' bhī is galī meñ sabā
bahut pūchhiyo to mirī or se
Top Urdushayar.com