Meer Taqi Meer

dil saf ho to jalwa-gah-e-yar kyun na ho

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
dil saaf ho to jalva-gah-e-yār kyuuñ na ho
ā.īna ho to qābil-e-dīdār kyuuñ na ho
aalam tamām us kā giraftār kyuuñ na ho
vo nāz-pesha ek hai ayyār kyuuñ na ho
mustaġhyāna to jo kare pahle hī sulūk
āshiq ko fikr-e-āqibat-kār kyuuñ na ho
rahmat ġhazab meñ nisbat-e-barq-o-sahāb hai
jis ko shu.ūr ho to gunahgār kyuuñ na ho
dushman to ik taraf ki sabab rashk kā hai yaañ
dar kā shiġhāf-o-raḳhna-e-dīvār kyuuñ na ho
āyāt-e-haq haiñ saare ye zarrāt-e-kā.enāt
inkār tujh ko hove so iqrār kyuuñ na ho
har-dam kī taaza marg-e-judā.ī se tañg huuñ
honā jo kuchh hai aah so yak-bār kyuuñ na ho
mū-e-safed ham ko kahe hai ki ġhāfilāñ
ab sub.h hone aa.ī hai bedār kyuuñ na ho
nazdīk apne ham ne to sab kar rakhā hai sahal
phir 'mīr' is meñ murdan-e-dushvār kyuuñ na ho
Top Urdushayar.com