Meer Taqi Meer

KHubi ka uski bas-ki talabgar ho gaya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ḳhūbī kā us kī bas-ki talabgār ho gayā
gul baaġh meñ gale kā mire haar ho gayā
kis ko nahīñ hai shauq tirā par na is qadar
maiñ to usī ḳhayāl meñ bīmār ho gayā
maiñ nau-damīda baal chaman-zād-e-tair thā
par ghar se uTh chalā so giraftār ho gayā
Thahrā gayā na ho ke harīf us kī chashm kā
siine ko toḌ tīr-e-nigah paar ho gayā
hai us ke harf zer-e-labī kā sabhoñ meñ zikr
kyā baat thī ki jis kā ye bistār ho gayā
to vo matā.a hai ki paḌī jis kī tujh pe aañkh
vo jī ko bech kar bhī ḳharīdār ho gayā
kyā kahiye āh-e-ishq meñ ḳhūbī nasīb kī
dildār apnā thā so dil-āzār ho gayā
āThoñ pahar lagā hī phire hai tumhāre saath
kuchh in dinoñ maiñ ġhair bahut yaar ho gayā
kab ro hai us se baat ke karne kā mujh ko 'mīr'
nā-karda jurm meñ tū gunahgār ho gayā
Top Urdushayar.com