Meer Taqi Meer

hai ghazal mir ye shifai ki

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
hai ġhazal 'mīr' ye 'shifā.ī' kī
ham ne bhī tab.a-āzmā.ī kī
us ke īfā-e-ahd tak na jiye
umr ne ham se bevafā.ī kī
vasl ke din kī aarzū hī rahī
shab na āḳhir huī judā.ī kī
isī taqrīb us galī meñ rahe
minnateñ haiñ shikasta-pā.ī kī
dil meñ us shoḳh ke na kī tāsīr
aah ne aah nā-rasā.ī kī
kāsa-e-chashm le ke juuñ nargis
ham ne dīdār kī gadā.ī kī
zor o zar kuchh na thā to bār-e-'mīr'
kis bharose par āshnā.ī kī
Top Urdushayar.com