Meer Taqi Meer

aage hamare ahd se wahshat ko ja na thi

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
aage hamāre ahd se vahshat ko jā na thī
dīvāngī kaso kī bhī zanjīr-e-pā na thī
begāna sā lage hai chaman ab ḳhizāñ meñ haa.e
aisī ga.ī bahār magar āshnā na thī
kab thā ye shor-e-nauha tirā ishq jab na thā
dil thā hamārā aage tū mātam-sarā na thī
vo aur koī hogī sahar jab huī qubūl
sharminda-e-asar to hamārī duā na thī
aage bhī tere ishq se khīñche the dard-o-ranj
lekin hamārī jaan par aisī balā na thī
dekhe dayār-e-husn ke meñ kārvāñ bahut
lekin kaso ke paas matā-e-vafā na thī
aa.ī parī sī parda-e-mīnā se jaam tak
āñkhoñ meñ terī duḳhtar-e-raz kyā hayā na thī
is vaqt se kyā hai mujhe to charāġh-e-vaqf
maḳhlūq jab jahāñ meñ nasīm-o-sabā na thī
pazhmurda is qadar haiñ ki hai shub.h ham ko 'mīr'
tan meñ hamāre jaan kabhū thī bhī yā na thī
Top Urdushayar.com