Meer Taqi Meer

jo ye dil hai to kya sar-anjam hoga

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
jo ye dil hai to kyā sar-anjām hogā
tā-ḳhāk bhī ḳhaak ārām hogā
mirā jī to āñkhoñ meñ aayā ye sunte
ki dīdār bhī ek din aam hogā
na hogā vo dekhā jise kabk tū ne
vo ik baaġh kā sarv-andām hogā
na niklā kar itnā bhī be-parda ghar se
bahut us meñ zālim to badnām hogā
hazāroñ kī yaañ lag ga.iiñ chhat se āñkheñ
tū ai maah kis shab-e-lab-e-bām hogā
vo kuchh jāntā hogā zulfoñ meñ phañsnā
jo koī asiir tā-dām hogā
jigar-chākī nākāmī duniyā hai āḳhir
nahīñ aa.e jo 'mīr' kuchh kaam hogā
Top Urdushayar.com