Meer Taqi Meer

hamein aamad-e-mir kal bha gai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
hameñ āmad-e-'mīr' kal bhā ga.ī
tarah is meñ majnūñ kī sab pā ga.ī
kahāñ kā ġhubār-e-āh dil meñ ye thā
mirī ḳhaak badlī sī sab chhā ga.ī
kyā paas bulbul-e-ḳhizāñ ne na kuchh
gul-o-barg be-dard phailā ga.ī
huī sāmne yuuñ to ek ek ke
hameñ se vo kuchh aañkh sharmā ga.ī
jigar muñh tak aate nahīñ bolte
ġharaz ham bhī karte haiñ kyā kyā ga.ī
na ham-rah koī nā kasī se gayā
mirī laash tā-gor tanhā ga.ī
ghaTā sham.a saañ kyuuñ na jā.ūñ chalā
tab-e-ġham jigar ko mire khā ga.ī
koī rahne vaalī hai jaan aziiz
ga.ī gar na imroz fardā ga.ī
kiye dast-o-pā gum jo 'mīr' aa gayā
vafā-pesha majlis use pā ga.ī
Top Urdushayar.com