Meer Taqi Meer

ghalat hai ishq mein ai bul-hawas andesha rahat ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ġhalat hai ishq meñ ai bul-havas andesha rāhat kā
rivāj is mulk meñ hai dard-o-dāġh-o-ranj-o-kulfat kā
zamīñ ik safha-e-tasvīr be-hoshāñ se maanā hai
ye majlis jab se hai achchhā nahīñ kuchh rañg sohbat kā
jahāñ jalve se us mahbūb ke yaksar labālab hai
nazar paidā kar avval phir tamāshā dekh qudrat kā
hanūz āvāra-e-lailā hai jān-e-rafta majnūñ kī
muue par bhī rahā hotā nahīñ vābasta ulfat kā
harīf-e-be-jigar hai sabr varna kal kī sohbat meñ
niyāz-o-nāz kā jhagḌā giro thā ek jur.at kā
nigāh-e-yās bhī is said-e-afgan par ġhanīmat hai
nihāyat tañg hai ai said-e-bismil vaqt fursat kā
ḳharābī dil kī is had hai ki ye samjhā nahīñ jaatā
ki ābādī bhī yaañ thī yā ki vīrāna thā muddat kā
nigāh-e-mast ne us kī luTā.ī ḳhānqa saarī
paḌā hai barham ab tak kārḳhāna zohd-o-tā.at kā
qadam Tak dekh kar rakh 'mīr' sar dil se nikālegā
palak se shoḳh-tar kāñTā hai sahrā-e-mohabbat kā
Top Urdushayar.com