ham aap hī ko apnā maqsūd jānte haiñ
apne sivā.e kis ko maujūd jānte haiñ
ijz-o-niyāz apnā apnī taraf hai saarā
is musht-e-ḳhāk ko ham masjūd jānte haiñ
sūrat-pazīr ham bin hargiz nahīñ ve maane
ahl-e-nazar hamīñ ko ma.abūd jānte haiñ
ishq un kī aql ko hai jo mā-sivā hamāre
nāchīz jānte haiñ nā-būd jānte haiñ
apnī hī sair karne ham jalva-gar hue the
is ramz ko va-lekin mādūd jānte haiñ
yārab kase hai naaqa har ġhuncha is chaman kā
rāh-e-vafā ko ham to masdūd jānte haiñ
ye zulm-e-be-nihāyat dushvār-tar ki ḳhūbāñ
bad-vaz.iyoñ ko apnī mahmūd jānte haiñ
kyā jaane daab sohbat az ḳhvesh raftagāñ kā
majlis meñ shaiḳh-sāhib kuchh kuud jānte haiñ
mar kar bhī haath aave to 'mīr' muft hai vo
jī ke ziyān ko bhī ham suud jānte haiñ