jis sar ko ġhurūr aaj hai yaañ tāj-varī kā
kal us pe yahīñ shor hai phir nauhagarī kā
sharminda tire ruḳh se hai ruḳhsār parī kā
chaltā nahīñ kuchh aage tire kabk-e-darī kā
āfāq kī manzil se gayā kaun salāmat
asbāb luTā raah meñ yaañ har safarī kā
zindāñ meñ bhī shorish na ga.ī apne junūñ kī
ab sañg mudāvā hai is āshufta-sarī kā
har zaḳhm-e-jigar dāvar-e-mahshar se hamārā
insāf-talab hai tirī bedād-garī kā
apnī to jahāñ aañkh laḌī phir vahīñ dekho
ā.īne ko lapkā hai pareshāñ-nazarī kā
sad mausam-e-gul ham ko tah-e-bāl hī guzre
maqdūr na dekhā kabhū be-bāl-o-parī kā
is rañg se jhamke hai palak par ki kahe tū
TukḌā hai mirā ashk aqīq-e-jigarī kā
kal sair kiyā ham ne samundar ko bhī jā kar
thā dast-e-nigar panja-e-mizhgāñ kī tarī kā
le saañs bhī āhista ki nāzuk hai bahut kaam
āfāq kī is kārgah-e-shīshagarī kā
Tuk 'mīr'-e-jigar-soḳhta kī jald ḳhabar le
kyā yaar bharosā hai charāġh-e-saharī kā