jo maiñ na huuñ to karo tark naaz karne ko
koī to chāhiye jī bhī niyāz karne ko
na dekho ġhuncha-e-nargis kī or khulte meñ
jo dekho us kī mizha nīm-bāz karne ko
na so.e niiñd bhar is tañgnā meñ tā na muue
ki aah jā na thī pā ke darāz karne ko
jo be-dimāġhī yahī hai to ban chukī apnī
dimāġh chāhiye har ik se saaz karne ko
vo garm naaz ho to ḳhalq par tarahhum kar
pukāre aap ajal ehtirāz karne ko
jo aañsū aaveñ to pī jā ki tā rahe parda
balā hai chashm-e-tar ifshā-e-rāz karne ko
samand naaz se tere bahut hai arsa tañg
tanik to tark kar is tark taaz karne ko
basān-e-zar hai mirā jism-e-zār saarā zard
asar tamām hai dil ke gudāz karne ko
hanūz laḌke ho tum qadar merī kyā jaano
shu.ūr chāhiye hai imtiyāz karne ko
agarche gul bhī numūd us ke rañg kartā hai
va-lek chāhiye hai muñh bhī naaz karne ko
zyāda had se thī tābūt-e-'mīr' par kasrat
huā na vaqt musā.id namāz karne ko