Meer Taqi Meer

patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
pattā pattā buuTā buuTā haal hamārā jaane hai
jaane na jaane gul hī na jaane baaġh to saarā jaane hai
lagne na de bas ho to us ke gauhar-e-gosh ko baale tak
us ko falak chashm-mah-o-ḳhur kī putlī kā taarā jaane hai
aage us mutakabbir ke ham ḳhudā ḳhudā kiyā karte haiñ
kab maujūd ḳhudā ko vo maġhrūr-e-ḳhud-ārā jaane hai
āshiq sā to saada koī aur na hogā duniyā meñ
jī ke ziyāñ ko ishq meñ us ke apnā vaarā jaane hai
chāragarī bīmāri-e-dil kī rasm-e-shahr-e-husn nahīñ
varna dilbar-e-nādāñ bhī is dard kā chāra jaane hai
kyā hī shikār-farebī par maġhrūr hai vo sayyād bacha
taa.ir uḌte havā meñ saare apne asārā jaane hai
mehr o vafā o lutf-o-ināyat ek se vāqif in meñ nahīñ
aur to sab kuchh tanz o kināya ramz o ishāra jaane hai
kyā kyā fitne sar par us ke laatā hai māshūq apnā
jis be-dil be-tāb-o-tavāñ ko ishq kā maarā jaane hai
raḳhnoñ se dīvār-e-chaman ke muñh ko le hai chhupā yaanī
in surāḳhoñ ke Tuk rahne ko sau kā nazāra jaane hai
tishna-e-ḳhūñ hai apnā kitnā 'mīr' bhī nādāñ talḳhī-kash
dum-dār āb-e-teġh ko us ke āb-e-gavārā jaane hai
Top Urdushayar.com