nikle hai chashma jo koī josh-e-zanāñ paanī kā
yaad vo hai vo kaso chashm kī giryānī kā
lutf agar ye hai butāñ sandal peshānī kā
husn kyā sub.h ke phir chehra-e-nūrānī kā
kufr kuchh chāhiye islām kī raunaq ke liye
husn zunnār hai tasbīh-e-sulaimānī kā
darhamī haal kī hai saare mire dīvāñ meñ
sair kar tū bhī ye majmūa pareshānī kā
jaan ghabrātī hai andoh se tan meñ kyā kyā
tañg ahvāl hai us yūsuf-e-zindānī kā
khel laḌkoñ kā samajhte the mohabbat ke ta.iiñ
hai baḌā haif hameñ apnī bhī nādānī kā
vo bhī jaane ki lahū ro ke likhā hai maktūb
ham ne sar naama kiyā kāġhaz afshānī kā
us kā muñh dekh rahā huuñ so vahī dekhūñ huuñ
naqsh kā sā hai samāñ merī bhī hairānī kā
but-parastī ko to islām nahīñ kahte haiñ
mo'taqid kaun hai 'mīr' aisī musalmānī kā