Meer Taqi Meer

KHub-ru sab ki jaan hote hain

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ḳhūb-rū sab kī jaan hote haiñ
ārzū-e-jahān hote haiñ
gosha-e-dīvār tak tū jā naale
us meñ gul ko bhī kaan hote haiñ
kabhū aate haiñ aap meñ tujh bin
ghar meñ ham mehmān hote haiñ
dasht ke phūTe maqbaroñ pe na jā
rauze sab gulistāñ hote haiñ
harf-e-talḳh un ke kyā kahūñ maiñ ġharaz
ḳhūb-rū bad-zabān hote haiñ
ġhamza-e-chashm ḳhush-qadān-e-zamīñ
fitna-e-asmān hote haiñ
kyā rahā hai mushā.ere meñ ab
log kuchh jam.a aan hote haiñ
'mīr'-o-'mirzā-rafī' va 'ḳhvāja-mīr'
kitne ik ye javān hote haiñ
Top Urdushayar.com