Meer Taqi Meer

dil-e-betab aafat hai bala hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
dil-e-betāb aafat hai balā hai
jigar sab khā gayā ab kyā rahā hai
hamārā to hai asl-e-mudda.ā tū
ḳhudā jaane tirā kyā mudda.ā hai
mohabbat-kushta haiñ ham yaañ kisū paas
hamāre dard kī bhī kuchh davā hai
haram se dair uTh jaanā nahīñ aib
agar yaañ hai ḳhudā vaañ bhī ḳhudā hai
nahīñ miltā suḳhan apnā kisū se
hamārā guftugū kā Dhab judā hai
koī hai dil khiñche jaate haiñ ūdhar
fuzūlī hai tajassus ye ki kyā hai
marūñ maiñ is meñ yā rah jā.ūñ jiitā
yahī sheva mirā mehr-o-vafā hai
sabā ūdhar gul ūdhar sarv ūdhar
usī kī baaġh meñ ab to havā hai
tamāshā-kardanī hai dāġh-e-sīna
ye phuul is taḳhte meñ taaza khilā hai
hazāroñ un ne aisī kiiñ adā.eñ
qayāmat jaise ik us kī adā hai
jagah afsos kī hai baad chande
abhī to dil hamārā bhī bajā hai
jo chupke huuñ kahe chupke ho kyuuñ tum
kaho jo kuchh tumhārā mudda.ā hai
suḳhan kariye to hove harf-zan yuuñ
bas ab muñh muuñd le maiñ ne sunā hai
kab us begāna-ḳhū ko samjhe aalam
agarche yaar ālam-āshnā hai
na aalam meñ hai ne aalam se bāhar
pa sab aalam se aalam hī judā hai
lagā maiñ gird sar phirne to bolā
tumhārā 'mīr' sāhib sar-phirā hai
Top Urdushayar.com