Meer Taqi Meer

naqsh baiThe hai kahan KHwahish-e-azadi ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
naqsh baiThe hai kahāñ ḳhvāhish-e-āzādī kā
nañg hai naam rihā.ī tirī sayyādī kā
daad de varna abhī jaan pe khelūñ huuñ maiñ
dil jalānā nahīñ dekhā kisī fariyādī kā
tū ne talvār rakhī sar rakhā meñ banda huuñ
apnī taslīm kā bhī aur tirī jallādī kā
shahr kī sī rahī raunaq usī ke jīte-jī
mar gayā qais jo thā ḳhāna ḳhudā vaadī kā
shaiḳh kyā sūrateñ rahtī thiiñ bhalā jab thā dair
rū-ba-vīrānī ho is ka.abe kī ābādī kā
reḳhta rutbe ko pahuñchāyā huā us kā hai
mo'taqid kaun nahīñ 'mīr' kī ustādī kā
Top Urdushayar.com