nāz-e-chaman vahī hai bulbul se go ḳhizāñ hai
Tahnī jo zard bhī hai so shāḳh-e-za.afarāñ hai
gar is chaman meñ vo bhī ik hī lab-o-dahāñ hai
lekin suḳhan kā tujh se ġhunche ko muñh kahāñ hai
hañgām-e-jalva us ke mushkil hai Thahre rahnā
chitvan hai dil kī āfat-e-chashmak balā-e-jāñ hai
patthar se toḌne ke qābil hai aarsī tū
par kyā kareñ ki pyāre muñh terā darmiyāñ hai
bāġh-o-bahār hai vo maiñ kisht-e-za.afrāñ huuñ
jo lutf ik idhar hai to yaañ bhī ik samāñ hai
har-chand zabt kariye chhuptā hai ishq koī
guzre hai dil pe jo kuchh chehre hī se ayaañ hai
is fan meñ koī be-tah kyā ho mirā muāriz
avval to maiñ sanad huuñ phir ye mirī zabāñ hai
aalam meñ āb-o-gil kā Thahrāv kis tarah ho
gar ḳhaak hai aḌe hai var aab hai ravāñ hai
charchā rahegā us kā tā-hashr mai-kashāñ meñ
ḳhūñ-rezī kī hamārī rañgīn dāstāñ hai
az-ḳhvesh rafta us bin rahtā hai 'mīr' aksar
rahte ho baat kis se vo aap meñ kahāñ hai