Meer Taqi Meer

har-dam taraf hai waise mizaj karaKHt ka

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
har-dam taraf hai vaise mizāj karaḳht kā
TukḌā mirā jigar hai kaho sañg saḳht kā
sabzān in rū kī jahāñ jalva-gāh thī
ab dekhiye to vaañ nahīñ saaya daraḳht kā
joñ barg-hā-e-lāla pareshān ho gayā
mazkūr kiyā hai ab jigar laḳht laḳht kā
dillī meñ aaj bhiik bhī miltī nahīñ unheñ
thā kal talak dimāġh jinheñ tāj-o-taḳht kā
ḳhāk-e-siyah se meñ jo barābar huā huuñ 'mīr'
saaya paḌā hai mujh pe kaso tīra-baḳht kā
Top Urdushayar.com