banī thī kuchh ik us se muddat ke baad
so phir bigḌī pahlī hī sohbat ke baad
judā.ī ke hālāt maiñ kyā kahūñ
qayāmat thī ek ek saa.at ke baad
muā kohkan be-sutūñ khod kar
ye rāhat huī aisī mehnat ke baad
lagā aag paanī ko dauḌe hai tū
ye garmī tirī is sharārat ke baad
kahe ko hamāre kab un ne sunā
koī baat maanī so minnat ke baad
suḳhan kī na taklīf ham se karo
lahū Tapke hai ab shikāyat ke baad
nazar 'mīr' ne kaisī hasrat se kī
bahut ro.e ham us kī ruḳhsat ke baad