Meer Taqi Meer

wahshat thi hamein bhi wahi ghar-bar se ab tak

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
vahshat thī hameñ bhī vahī ghar-bār se ab tak
sar maare haiñ apne dar o dīvār se ab tak
marte hī sunā un ko jinheñ dil-lagī kuchh thī
achchhā huā koī is āzār se ab tak
jab se lagī haiñ āñkheñ khulī raah take haiñ
so.e nahīñ saath us ke kabhū pyaar se ab tak
aayā thā kabhū yaar so māmūl ham us ke
bistar pe gire rahte haiñ bīmār se ab tak
bad-ahdiyoñ meñ vaqt-e-vafāt aan bhī pahuñchā
vaada na huā ek vafā yaar se ab tak
hai qahr o ġhazab dekh taraf kushte ke zālim
kartā hai ishārat bhī tū talvār se ab tak
kuchh ranj-e-dilī 'mīr' javānī meñ khiñchā thā
zardī nahīñ jaatī mire ruḳhsār se ab tak
Top Urdushayar.com