Meer Taqi Meer

ab zoaf se Dhahta hai betabi shitabi ki

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ab zo.af se Dhahtā hai betābī shitābī kī
us dil ke taḌapne ne kyā ḳhāna-ḳharābī kī
un daras-gahoñ meñ vo aayā na nazar ham ko
kyā naqal karūñ ḳhūbī us chehra kitābī kī
bhunte haiñ dil ik jānib sakte haiñ jigar yaksū
hai majlis-e-mushtāqāñ dukān kabābī kī
talḳh us lab-e-mai-gūñ se sab sunte haiñ kis ḳhātir
tah-dār nahīñ hotī guftār sharābī kī
yak bū kushī bulbul hai maujib-e-sad-mastī
pur-zor hai kyā daarū ġhunche kī gulābī kī
ab soz-e-mohabbat se saare jo phaphole haiñ
hai shakl mire dil kī sab shīsha habābī kī
nash-murda mire muñh se yaañ harf nahīñ niklā
jo baat ki maiñ ne kī so 'mīr' hisābī kī
Top Urdushayar.com