sahr-e-gah-e-īd meñ daur-e-subū thā
par apne jaam meñ tujh bin lahū thā
ġhalat thā aap se ġhāfil guzarnā
na samjhe ham ki is qālib meñ tū thā
chaman kī vaz.a ne ham ko kyā daaġh
ki har ġhuncha-dil par aarzū thā
gulo-ā.īnā kyā ḳhurshīd-o-mah kyā
jidhar dekhā tidhar terā hī rū thā
karoge yaad bāteñ to kahoge
ki koī rafta-e-bisyār-go thā
jahāñ par hai fasāne se hamāre
dimāġh-e-ishq ham ko bhī kabhū thā
magar dīvāna thā gul bhī kaso kā
ki pairāhan meñ so jaagā rafū thā
kahīñ kyā baal tere khul ga.e the
ki jhoñkā baav kā kuchh mushkbū thā
na dekhā 'mīr' āvāra ko lekin
ġhubār ik nā-tavāñ sā kū-ba-kū thā