tāqat nahīñ hai dil maiñ ne jī bajā rahā hai
kyā naaz kar rahe ho ab ham meñ kyā rahā hai
jeb aur āstīñ se rone kā kaam guzrā
saarā nichoḌ ab to dāman par aa rahā hai
ab chait gar nahīñ kuchh taaza huā huuñ bekal
aayā huuñ jab ba-ḳhud meñ jī is meñ jā rahā hai
kaahe kā paas ab to rusvā.ī duur pahuñchī
rāz-e-mohabbat apnā kis se chhapā rahā hai
gard-e-rah us kī yārab kis aur se uThegī
sau sau ġhazāl har-sū āñkheñ lagā rahā hai
bande to trahdār vhiiñ tarah kash tumhāre
phir chāhte ho kyā tum ab ik ḳhudā rahā hai
dekh us dahan ko har-dam ai aarsī ki yuuñ hī
ḳhūbī kā dar kaso ke muñh par bhī vā rahā hai
ve lutf kī nigāheñ pahle fareb haiñ sab
kis se vo be-muravvat phir āshnā rahā hai
itnā ḳhizāñ kare hai kab zard rañg par yaañ
tū bhī kaso nigah se ai gul judā rahā hai
rahte haiñ daaġh aksar nān-o-namak kī ḳhātir
jiine kā us samayñ meñ ab kyā maza rahā hai
ab chāhtā nahīñ hai bosa jo tere lab se
jiine se 'mīr' shāyad kuchh dil uThā rahā hai