Meer Taqi Meer

kal bare humse is se mulaqat ho gai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kal baare ham se is se mulāqāt ho ga.ī
do do bachan ke hone meñ ik baat ho ga.ī
kin kin musībatoñ se huī sub.h shām-e-hijr
so zulfeñ hī banāte use raat ho ga.ī
gardish nigāh-e-mast kī mauqūf sāqiyā
masjid to shaiḳh jī kī ḳharābāt ho ga.ī
Dar zulm se ki us kī jazā bas shitāb hai
aayā amal meñ yaañ ki mukāfāt ho ga.ī
ḳhurshīd sā pyāla-e-mai be-talab diyā
pīr-e-muġhāñ se raat karāmāt ho ga.ī
kitnā ḳhilāf va.ada huā hogā vo ki yaañ
nau-mīdī-o-ummīd musāvāt ho ga.ī
aa shaiḳh guftagū-e-pareshāñ pe to na jā
mastī meñ ab to qibla-e-hājāt ho ga.ī
Tak shahr se nikal ke mirā girya sair kar
goyā ki koh-o-dasht pe barsāt ho ga.ī
dīdār kī gursañgī apnī yahīñ se dekh
ik hī nigāh yāroñ kī auqāt ho ga.ī
apne to hoñT bhī na hile us ke rū-ba-rū
ranjish kī vaj.h 'mīr' vo kyā baat ho ga.ī
Top Urdushayar.com