ham se kuchh aage zamāne meñ huā kyā kyā kuchh
to bhī ham ġhāfiloñ ne aa ke kyā kyā kuchh
dil jigar jaan ye bhasmant hue siine meñ
ghar ko ātish dī mohabbat ne jalā kyā kyā kuchh
kyā kahūñ tujh se ki kyā dekhā hai tujh meñ maiñ ne
ishva-o-ġhamza-o-andāz-o-adā kyā kyā kuchh
dil gayā hosh gayā sabr gayā jī bhī gayā
shaġhl meñ ġham ke tire ham se gayā kyā kyā kuchh
aah mat pūchh sitamgār ki tujh se thī hameñ
chashm-e-lutf-o-karam-o-mahr-o-vafā kyā kyā kuchh
naam haiñ ḳhasta-o-āvāra-o-bad-nām mire
ek aalam ne ġharaz mujh ko kahā kyā kyā kuchh
tarfa-e-sohbat hai ki suntā nahīñ tū ek mirī
vāste tere sunā maiñ ne sunā kyā kyā kuchh
hasrat-e-vasl-o-ġham-e-hijr-o-ḳhayāl-e-ruḳh-e-dost
mar gayā maiñ pe mire jī meñ rahā kyā kyā kuchh
dard-e-dil zaḳhm-e-jigar kulfat-e-ġham dāġh-e-firāq
aah aalam se mire saath chalā kyā kyā kuchh
chashm-e-namnāk-o-dil par jigar sad-pāra
daulat-e-ishq se ham paas bhī thā kyā kyā kuchh
tujh ko kyā banñe bigaḌne se zamāne ke ki yaañ
ḳhaak kin kin kī huī sirf banā kyā kyā kuchh
qibla-o-ka.aba ḳhudā-vand-o-malāz-o-mushfiq
muztarib ho ke use maiñ ne likhā kyā kyā kuchh
par kahūñ kyā raqam shauq kī apne tāsīr
har sar-e-harf pe vo kahne lagā kyā kyā kuchh
ek mahrūm chale 'mīr' hameñ aalam se
varna aalam ko zamāne ne diyā kyā kyā kuchh