DhūñDā na pā.iye jo is vaqt meñ sau zar hai
phir chaah jis kī mutlaq hai hī nahīñ hunar hai
har-dam qadam ko apne rakh ehtiyāt se yaañ
ye kār-gāh saarī dukkān-e-shīshagar hai
Dhāyā jinnoñ ne us ko un par ḳharābī aa.ī
jaanā gayā usī se dil bhī kaso kā ghar hai
tujh bin shakeb kab tak be-fā.eda huuñ nālāñ
mujh naala kash ke to ai fariyād-ras kidhar hai
said-afgano hamāre dil ko jigar ko dekho
ik tiir kā hadaf hai ik teġh kā sipar hai
ahl-e-zamāna rahte ik taur par nahīñ haiñ
har aan martabe se apne unheñ safar hai
kaafī hai mahr qātil mahzar pe ḳhuuñ ke mere
phir jis jagah ye jaave us jā hī mo'atabar hai
terī galī se bach kar kyuuñ mehr-o-mah na nikleñ
har koī jāntā hai is raah meñ ḳhatar hai
ve din ga.e ki aañsū rote the 'mīr' ab to
āñkhoñ meñ laḳht-e-dil hai yā pāra-e-jigar hai