Meer Taqi Meer

mir dariya hai sune sher zabani uski

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
'mīr' dariyā hai sune sher zabānī us kī
allāh allāh re tabī.at kī ravānī us kī
ḳhātir-e-bādiya se dair meñ jāvegī kahīñ
ḳhaak mānind bagūle ke uḌānī us kī
ek hai ahd meñ apne vo parāgañda-mizāj
apnī āñkhoñ meñ na aayā koī saanī us kī
meñh to bauchhār kā dekhā hai baraste tum ne
isī andāz se thī ashk-fishānī us kī
baat kī tarz ko dekho to koī jaadū thā
par milī ḳhaak meñ kyā sehr-bayānī us kī
kar ke tāvīz rakheñ us ko bahut bhātī hai
vo nazar paañv pe vo baat divānī us kī
us kā vo ijz tumhārā ye ġhurūr-e-ḳhūbī
minnateñ un ne bahut kiiñ pa na maanī us kī
kuchh likhā hai tujhe har barg pe ai rashk-e-bahār
ruq.a vāreñ haiñ ye aurāq-e-ḳhizānī us kī
sarguzisht apnī kis andoh se shab kahtā thā
so ga.e tum na sunī aah kahānī us kī
marsiye dil ke ka.ī kah ke diye logoñ ko
shahr-e-dillī meñ hai sab paas nishānī us kī
miyān se niklī hī paḌtī thī tumhārī talvār
kyā evaz chaah kā thā ḳhasmi-e-jānī us kī
aable kī sī tarah Thes lagī phuuT bahe
dardmandī meñ ga.ī saarī javānī us kī
ab ga.e us ke juz afsos nahīñ kuchh hāsil
haif sad haif ki kuchh qadr na jaanī us kī
Top Urdushayar.com