jo kaho tum so hai bajā sāhab
ham bure hī sahī bhalā sāhab
sāda-zehnī meñ nukta-chīñ the tum
ab to haiñ harf-āshnā sāhab
na diyā rahm Tuk butoñ ke ta.iiñ
kyā kiyā haa.e ye ḳhudā sāhab
bandagī ek apnī kyā kam hai
aur kuchh tum se kahiye kyā sāhab
mehr-afzā hai muñh tumhārā hī
kuchh ġhazab to nahīñ huā sāhab
ḳhat ke phaTne kā tum se kyā shikva
apne tāle.a kā ye likhā sāhab
phir ga.iiñ āñkheñ tum na aan phire
dekhā tum ko bhī vāh-vā sāhab
shauq-e-ruḳh yād-e-lab ġham-e-dīdār
jī meñ kyā kyā mire rahā sāhab
bhuul jaanā nahīñ ġhulām kā ḳhuub
yaad ḳhātir rahe mirā sāhab
kin ne sun sher-e-'mīr' ye na kahā
kahiyo phir haa.e kyā kahā sāhab