kyā kahiye ki ḳhūbāñ ne ab ham meñ hai kyā rakhā
in chashm-siyāhoñ ne bahutoñ ko sulā rakhā
jalva hai usī kā sab gulshan meñ zamāne ke
gul phuul ko hai un ne parda sā banā rakhā
juuñ barg ḳhizāñ-dīda sab zard hue ham to
garmī ne hameñ dil kī āḳhir ko jalā rakhā
kahiye jo tamīz us ko kuchh achchhe bure kī ho
dil jis kaso kā paayā chaT un ne uḌā rakhā
thī maslak-e-ulfat kī mash.hūr ḳhatarnākī
maiñ dīda-o-dānista kis raah meñ pā rakhā
ḳhurshīd-o-qamar pyāre rahte haiñ chhupe koī
ruḳhsāroñ ko go tū ne burqā se chhupā rakhā
chashmak hī nahīñ taazī sheve ye usī ke haiñ
jhamkī sī dikhā de kar aalam ko lagā rakhā
lagne ke liye dil ke chhiḌkā thā namak maiñ ne
sau chhātī ke zaḳhmoñ ne kal der maza rakhā
kushte ko is abrū ke kyā mel ho hastī kī
maiñ taaq buland uupar jiine ko uThā rakhā
qata.ī hai dalīl ai 'mīr' us teġh kī be-ābī
rahm un ne mire haq meñ mutlaq na ravā rakhā