bazm meñ jo tirā zuhūr nahīñ
sham-e-raushan ke muñh pe nuur nahīñ
kitnī bāteñ banā ke lā.ūñ ek
yaad rahtī tire huzūr nahīñ
ḳhuub pahchāntā huuñ tere ta.iiñ
itnā bhī to maiñ be-shu.ūr nahīñ
qatl hī kar ki us meñ rāhat hai
lāzim us kaam meñ marūr nahīñ
fikr mat kar hamāre jiine kā
tere nazdīk kuchh ye duur nahīñ
phir jiyeñge jo tujh sā hai jāñ-baḳhsh
aisā jiinā hameñ zarūr nahīñ
aam hai yaar kī tajallī 'mīr'
ḳhaas muusā va koh-e-tūr nahīñ