gar kuchh ho dard ā.īna yuuñ charḳh-e-zisht meñ
in sūratoñ ko sirf kare ḳhāk-o-ḳhisht meñ
rakhtā hai soz-e-ishq se dozaḳh meñ roz-o-shab
le jā.egā ye soḳhta-dil kyā bahisht meñ
āsūda kyūñke huuñ maiñ ki mānind-e-gard-bād
āvārgī tamām hai merī sarisht meñ
kab tak ḳharāb sa.ī-e-tavāf-e-haram rahūñ
dil ko uThā ke baiTh rahūñgā kunisht meñ
mātam ke huuñ zamīn pe ḳhirman to kyā ajab
hotā hai niil charḳh kī us sabz kisht meñ
sarmast ham haiñ āñkhoñ ke dekhe se yaar kī
kab ye nasha hai duḳhtar-e-raz tujh palisht meñ
rindoñ ke ta.iiñ hamesha malāmat kare hai tū
ājā.iyo na shaiḳh kahīñ hasht-bahisht meñ
naame ko chaak kar ke kare nāma-bar ko qatl
kyā ye likhā thā 'mīr' marī sar-navisht meñ