Meer Taqi Meer

garche kab dekhte ho par dekho

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
garche kab dekhte ho par dekho
aarzū hai ki tum idhar dekho
ishq kyā kyā hameñ dikhātā hai
aah tum bhī to ik nazar dekho
yuuñ araq jalva-gar hai us muñh par
jis tarah os phuul par dekho
har ḳharāsh-e-jabīñ jarāhat hai
nāḳhun-e-shauq kā hunar dekho
thī hameñ aarzū lab-e-ḳhandāñ
so evaz us ke chashm-e-tar dekho
rañg-rafta bhī dil ko khīñche hai
ek shab aur yaañ sahar dekho
dil huā hai taraf mohabbat kā
ḳhuun ke qatre kā jigar dekho
pahuñche haiñ ham qarīb marne ke
ya.anī jaate haiñ duur agar dekho
lutf mujh meñ bhī haiñ hazāroñ 'mīr'
dīdanī huuñ jo soch kar dekho
Top Urdushayar.com