sozish dil se muft galte haiñ
daaġh jaise charāġh julte haiñ
is tarah dil gayā ki ab tak ham
baiThe rote haiñ haath milte haiñ
bharī aatī haiñ aaj yuuñ āñkheñ
jaise dariyā kahīñ ubalte haiñ
dam-e-āḳhir hai baiTh jā mat jā
sabr kar Tak ki ham bhī chalte haiñ
tere be-ḳhud jo haiñ so kiyā chīteñ
aise Duube kahīñ uchhalte haiñ
fitna dar-sar-e-hashr-e-ḳhirām
haa.e re kis Thasak se chalte haiñ
nazar uThtī nahīñ ki jab ḳhūbāñ
sote se uTh ke aañkh milte haiñ
is sar-e-zulf kā ḳhayāl na chhoḌ
saañp ke sar hī yaañ kuchalte haiñ
the jo aġhyār sañg siine ke
ab to kuchh ham ko dekh Talte haiñ
sham.a-rū mom ke bane haiñ magar
garm Tak maliye to pighalte haiñ
'mīr'-sāhib ko dekhiye jo bane
ab bahut ghar se kam nikalte haiñ