Meer Taqi Meer

dawe ko yar aage mayub kar chuke hain

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
da.ave ko yaar aage ma.ayūb kar chuke haiñ
is reḳhte ko varna ham ḳhuub kar chuke haiñ
marne se tum hamāre ḳhātir nachant rakhiyo
us kaam kā bhī ham kuchh uslūb kar chuke haiñ
husn-e-kalām khīñche kyūñkar na dāman-e-dil
is kaam ko ham āḳhir mahbūb kar chuke haiñ
hañgāma-e-qayāmat taaza nahīñ jo hogā
ham is tarah ke kitne āshob kar chuke haiñ
rañg-e-parīdañ qāsid bād-e-sahar kabūtar
kis kis ke ham havāle maktūb kar chuke haiñ
tinkā nahīñ rahā hai kyā ab nisār kariye
aage hī ham to ghar ko jārūb kar chuke haiñ
har lahza hai tazāyud ranj-o-ġham-o-alam kā
ġhālib ki taba-e-dil ko maġhlūb kar chuke haiñ
kyā jāniye ki kyā hai ai 'mīr' vaj.h zid kī
sau baar ham to us ko mahjūb kar chuke haiñ
Top Urdushayar.com