ab haal apnā us ke hai dil-ḳhvāh
kyā pūchhte ho alhamdulillāh
mar jaao koī parvā nahīñ hai
kitnā hai maġhrūr allāh allāh
pīr-e-muġhāñ se be-etiqādī
astaġhfirullah astaġhfirullāh
kahte haiñ us ke tū muñh lagegā
ho yuuñ hī yārab juuñ hai ye afvāh
hazrat se us kī jaanā kahāñ hai
ab mar rahegā yaañ banda dargāh
sab aql kho.e hai rāh-e-mohabbat
ho ḳhizr dil meñ kaisā hī gumrāh
mujrim hue ham dil de ke varna
kis ko kaso se hotī nahīñ chaah
kyā kyā na rījheñ tum ne pachā.īñ
achchhā rijhāyā ai mehrbāñ aah
guzre hai dekheñ kyūñkar hamārī
us bevafā se ne rasm ne raah
thī ḳhvāhish-e-dil rakhnā hamā.il
gardan meñ us kī har gāh-o-be-gāh
us par ki thā vo shah-e-rag se aqrab
hargiz na pahuñchā ye dast-e-kotāh
hai mā-sivā kyā jo 'mīr' kahiye
āgāh saare us se haiñ āgāh
jalve haiñ us ke shāneñ haiñ us kī
kyā roz kyā ḳhor kyā raat kyā maah
zāhir ki bātin avval ki āḳhir
allāh allāh allāh allāh