Meer Taqi Meer

ulTi ho gain sab tadbiren kuchh na dawa ne kaam kiya

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
ulTī ho ga.iiñ sab tadbīreñ kuchh na davā ne kaam kiyā
dekhā is bīmāri-e-dil ne āḳhir kaam tamām kiyā
ahd-e-javānī ro ro kaaTā piirī meñ liiñ āñkheñ muuñd
ya.anī raat bahut the jaage sub.h huī ārām kiyā
harf nahīñ jāñ-baḳhshī meñ us kī ḳhūbī apnī qismat kī
ham se jo pahle kah bhejā so marne kā paiġhām kiyā
nāhaq ham majbūroñ par ye tohmat hai muḳhtārī kī
chāhte haiñ so aap kareñ haiñ ham ko abas badnām kiyā
saare rind aubāsh jahāñ ke tujh se sujūd meñ rahte haiñ
bāñke TeḌhe tirchhe tīkhe sab kā tujh ko imaam kiyā
sarzad ham se be-adabī to vahshat meñ bhī kam hī huī
kosoñ us kī or ga.e par sajda har har gaam kiyā
kis kā ka.aba kaisā qibla kaun haram hai kyā ehrām
kūche ke us ke bāshindoñ ne sab ko yahīñ se salām kiyā
shaiḳh jo hai masjid meñ nañgā raat ko thā mai-ḳhāne meñ
jubba ḳhirqa kurtā Topī mastī meñ in.aam kiyā
kaash ab burqa muñh se uThā de varna phir kyā hāsil hai
aañkh muñde par un ne go dīdār ko apne aam kiyā
yaañ ke sapīd o siyah meñ ham ko daḳhl jo hai so itnā hai
raat ko ro ro sub.h kiyā yā din ko juuñ tuuñ shaam kiyā
sub.h chaman meñ us ko kahīñ taklīf-e-havā le aa.ī thī
ruḳh se gul ko mol liyā qāmat se sarv ġhulām kiyā
sā.ad-e-sīmīñ donoñ us ke haath meñ lā kar chhoḌ diye
bhūle us ke qaul-o-qasam par haa.e ḳhayāl-e-ḳhām kiyā
kaam hue haiñ saare zaa.e.a har saa.at kī samājat se
istiġhnā kī chaugunī un ne juuñ juuñ maiñ ibrām kiyā
aise āhu-e-ram-ḳhurda kī vahshat khonī mushkil thī
sehr kiyā e.ajāz kiyā jin logoñ ne tujh ko raam kiyā
'mīr' ke dīn-o-maz.hab ko ab pūchhte kyā ho un ne to
qashqa khīñchā dair meñ baiThā kab kā tark islām kiyā
Top Urdushayar.com