ishq meñ nai ḳhauf-o-ḳhatar chāhiye
jaan ke dene ko jigar chāhiye
qābil-e-āġhosh sitam dīdgāñ
ashk sā pākīza guhar chāhiye
haal ye pahuñchā hai ki ab zo.af se
uThte palak ek pahar chāhiye
kam hai shanāsā-e-zar-e-dāġh-e-dil
us ke parakhne ko nazar chāhiye
saiñkaḌoñ marte haiñ sadā phir bhī yaañ
vāqi.a ik shām-o-sahar chāhiye
ishq ke āsār haiñ ai bul-havas
daaġh ba-dil-e-dast basar chāhiye
shart salīqa hai har ik amar meñ
aib bhī karne ko hunar chāhiye
jaise jaras paara gulo kyā karūñ
nāla-o-afġhāñ meñ asar chāhiye
ḳhauf qayāmat kā yahī hai ki 'mīr'
ham ko jiyā bār-e-digar chāhiye