Meer Taqi Meer

koft se jaan lab pe aai hai

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
koft se jaan lab pe aa.ī hai
ham ne kyā choT dil pe khaa.ī hai
likhte ruqa likhe ga.e daftar
shauq ne baat kyā baḌhā.ī hai
aarzū us buland o baalā kī
kyā balā mere sar pe laa.ī hai
dīdanī hai shikastagī dil kī
kyā imārat ġhamoñ ne Dhaa.ī hai
hai tasanño ki laal haiñ ve lab
yaanī ik baat sī banā.ī hai
dil se nazdīk aur itnā duur
kis se us ko kuchh āshnā.ī hai
be-sutūñ kyā hai kohkan kaisā
ishq kī zor āzmā.ī hai
jis maraz meñ ki jaan jaatī hai
dilbaroñ hī kī vo judā.ī hai
yaañ hue ḳhaak se barābar ham
vaañ vahī naaz o ḳhud-numā.ī hai
aisā mautā hai zinda-e-jāved
rafta-e-yār thā jab aa.ī hai
marg-e-majnūñ se aql gum hai 'mīr'
kyā divāne ne maut paa.ī hai
Top Urdushayar.com