guzar jaan se aur Dar kuchh nahīñ
rah-e-ishq meñ phir ḳhatar kuchh nahīñ
hai ab kaam dil jis pe mauqūf to
vo naala ki jis meñ asar kuchh nahīñ
huā maa.il us sarv kā dil mirā
ba-juz jaur jis se samar kuchh nahīñ
na kar apne mahvoñ kā hargiz surāġh
ga.e guzre bas ab ḳhabar kuchh nahīñ
tirī ho chukī ḳhushk mizhgāñ kī sab
lahū ab jigar meñ magar kuchh nahīñ
hayā se nahīñ pusht-e-pā par vo chashm
mirā haal madd-e-nazar kuchh nahīñ
karūñ kyūñke inkār ishq aah meñ
ye ronā bhalā kyā hai gar kuchh nahīñ
kamar us kī rashk rag-e-jāñ hai 'mīr'
ġharaz is se bārīk-tar kuchh nahīñ