Meer Taqi Meer

bhala hoga kuchh ek ahwal us se ya bura hoga

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
bhalā hogā kuchh ik ahvāl us se yā burā hogā
ma.aal apnā tire ġham meñ ḳhudā jaane ki kyā hogā
tafahhus fā.eda nāseh tadāruk tujh se kyā hogā
vahī pāvegā merā dard-e-dil jis kā lagā hogā
kaso ko shauq yārab besh us se aur kyā hogā
qalam haath aa ga.ī hogī to sau sau ḳhat likhā hogā
dukāneñ husn kī aage tire taḳhta huī hoñgī
jo tū bāzār meñ hogā to yūsuf kab bikā hogā
ma.īshat ham faqīroñ kī sī iḳhvān-e-zamāñ se kar
koī gaalī bhī de to kah bhalā bhaa.ī bhalā hogā
ḳhayāl us bevafā kā ham-nashīñ itnā nahīñ achchhā
gumāñ rakhte the ham bhī ye ki ham se āshnā hogā
qayāmat kar ke ab ta.abīr jis ko kartī hai ḳhilqat
vo us kūche meñ ik āshob sā shāyad huā hogā
ajab kyā hai halāk ishq meñ farhād-o-majnūñ ke
mohabbat rog hai koī ki kam us se jiyā hogā
na ho kyuuñ ġhairat-e-gul-zār vo kūcha ḳhudā jaane
lahū is ḳhaak par kin kin azīzoñ kā girā hogā
bahut ham-sā.e is gulshan ke zanjīrī rahā huuñ maiñ
kabhū tum ne bhī merā shor nāloñ kā sunā hogā
nahīñ juz arsh jaagā raah meñ lene ko dam us ke
qafas se tan ke murġh-e-rūh merā jab rahā hogā
kahīñ haiñ 'mīr' ko maarā gayā shab us ke kūche meñ
kahīñ vahshat meñ shāyad baiThe baiThe uTh gayā hogā
Top Urdushayar.com