Meer Taqi Meer

kya din the we ki yan bhi dil aarmida tha

Meer Taqi Meer

Agra, Uttar pradesh, India

1722-1810
kyā din the ve ki yaañ bhī dil ārmīda thā
rū-āshiyāñ tā.ir-e-rañg-parīda thā
qāsid jo vaañ se aayā to sharminda maiñ huā
bechāra girya-nāk garebāñ darīda thā
ik vaqt ham ko thā sar-e-girya ki dasht meñ
jo ḳhaar ḳhushk thā sau vo tūfāñ rasīda thā
jis said-gāh-e-ishq meñ yāroñ kā jī gayā
marg us shikār-gah kā shikār ramīda thā
korī chashm kyuuñ na ziyārat ko us kī aa.e
yūsuf sā jis ko madd-e-nazar nūr-dīda thā
afsos marg sabr hai is vāste ki vo
gul-hā-e-bāġh ishrat-e-duniyā nachīdā thā
mat pūchh kis tarah se kaTī raat hijr kī
har naala merī jaan ko teġh kashīda thā
hāsil na pūchh gulshan-e-mash.had kā bul-havas
yaañ phal har ik daraḳht kā halq-e-burīda thā
dil-e-be-qarār girya-e-ḳhūnīñ thā raat 'mīr'
aayā nazar to bismil dar-e-ḳhūñ tapīda thā
Top Urdushayar.com