us kā ḳhirām dekh ke jaayā na jā.egā
ai kabk phir bahāl bhī aayā na jā.egā
ham kushtgān-e-ishq haiñ abrū-o-chashm-e-yar
sar se hamāre teġh kā saaya na jā.egā
ham rahravān-e-rāh-e-fanā haiñ barañg-e-umr
jāveñge aise khoj bhī paayā na jā.egā
phoḌā sā saarī raat jo paktā rahegā dil
to sub.h tak to haath lagāyā na jā.egā
apne shahīd-e-nāz se bas haath uThā ki phir
dīvān-e-hashr meñ use laayā na jā.egā
ab dekh le ki siina bhī taaza huā hai chaak
phir ham se apnā haal dikhāyā na jā.egā
ham be-ḳhud un mahfil-e-tasvīr ab ga.e
ā.inda ham se aap meñ aayā na jā.egā
go be-sutūñ ko Taal de aage se kohkan
sañg-garān-e-ishq uThāyā na jā.egā
ham to ga.e the shaiḳh ko insān buujh kar
par ab se ḳhānqāh meñ jaayā na jā.egā
yaad us kī itnī ḳhuub nahīñ 'mīr' baaz aa
nādān phir vo jī se bhulāyā na jā.egā