ga.ī chhāñv us teġh kī sar se jab kī
jale dhuup meñ yaañ talak ham ki tab kī
paḌī ḳhirman-e-gul pe bijlī sī āḳhir
mire ḳhush-nigah kī nigāh ik ġhazab kī
koī baat nikle hai dushvār muñh se
Tak ik to bhī to sun kisī jāñ-ba-lab kī
tū shamla jo rakhtā hai ḳhar hai vagarna
zarūrat hai kyā shaiḳh dam ik vajab kī
yakāyak bhī aa sar pe vāmāñdgāñ ke
bahut dekhte haiñ tirī raah kab kī
dimāġh-o-jigar dil muḳhālif hue haiñ
huī muttafiq ab idhar raa.e sab kī
tujhe kyūñke DhūñDūñ ki sote hī guzrī
tirī raah meñ apne piye talab kī
dil arsh se guzre hai zo.af meñ bhī
ye zor-āvarī dekho zārī-e-shab kī
ajab kuchh hai gar 'mīr' aave mayassar
gulābī sharāb aur ġhazal apne Dhab kī